success stories 2

Success story
written by MK


mamuli jeb kharch se banaayi multi milion company




fusion charts ki kamyabi ki kahani chuninda daastano mein se ek hai . 16 varsiye pallav nadani ne microsoft excel se ubkar bhetar charts solution ke liye fusion charts ki neev rakhi . mamuli jeb kharch se suru ki gayi yeh company aaj google , apple , linked in aur facebook jaise claints ke saath karodo ke business ke mukaam par hai .

Bhagalpur ke marvadi parivaar mein janme pallav ke ghar mein lagzuri ke naam par ek computer tha , jis par veh ghanto bitaya karta tha . computer uske pitaji ka tha , jise ve apne accounts ke kaam ke liye istemaal karte the . 1997 mein pallav ke pita ne ek computer training center ki suruat ki to unke ristedaaro ke bacche training ke liye unke paas aaye . ve apne saath kuch kitaabe bhi lekar aaye the . raat mein sabhi ke so jaane ke baad pallav ne in kitabon ko padkar khud sikhna suru kiya . phir pallav pita ke saath kolkata shift ho gaya . yahan use la martineyar boys school mein dakhila mil gaya , jahan city ke bhetrin students padne aate the . pallav bhi inhi ki tarha banne ke liye prerit hua aur usne kadi mehenat karne ki thaan li .

sadharan ladke ki asadhran mahatvkansha




High school student pallav nadani ko apne school assignment ke liye excel mein charts banana jara bhi pasand nahi tha . pallav ke anusaar school assignment ke dauran excel ka kai baar istemaal karna padta tha aur boring charts use bilkul pasand nahi the . isi napasand ne use jehen mein ek interactive charting solution ready karne ke ideaye ko janam diya . pallav ke ek website par apne is vichar ko lekar kuch lekh likhe . iski suruat jeb kharch hasil karne ke maksad se hui thi . in lekhon ke liye use kaafi sarahana mili aur 2000 dollar mehentana bhi . Eleventh class ke student ke liye 2000 dollar ka mahntana kuch kam nahi tha isse 16 saal ke es yuvak ko bada protsahan mila . usne apne vichar ko karoobari jaama phenane ka faisla kiya aur 2001 mein apni company fusion charts technologys ki neev rakhi .


muskil bhari thi suruat




company ki suruat ke teen saal tak pallav ne akele hi product develoment , website nirmaan , documentation , sales & marketing aur coustomer support ke morche sambhale . es dauran unhone sikha ki globel software component market kaise kaam karta hai , kaise apni taqat ko badhakar ek go-to-market straggy banai ja sakti hai . jab order milne suru hue to pallav ne 2005 mein apna phela office khola aur karib 2 saal ke antraal mein 20 logo ki ek team khadi ki . ab pallav ko anubhavi salha ki bhi jarorat hone lagi kyunki unhe sarkari niyamon aur banking va finance ki jyada jankari nahi thi , vahi unhe videshi clints ke saath bhi deal karna padta tha . is paresaani ko hal karne ke liye unhone apne pita ki help li .


Desh - Videsh mein mili prassidhi




2009 mien pallav ne karobaar ko vistaar dene ke liye apne office kolkata ka IT HUB kahe jane wale sault lek mein shift kiya aur apni team ki sankhiya 20 se bhadakar 50 kar li . isse pallav ko business badane mein madad mili . 2010 mein fusion charts mein 80 karmchari aur 21,000 se jyada clints hai jinme Linkedln , Google , Facebook , Ford jaisi companiya saamil hai . company ne dheere-dheere apne paon pasare aur duniya ke kareeb 118 deshon ke farmasutical se lekar fmcg tak shisan sansthano se lekar nasa tak apni upasthithi darj karvai . itna hi nahi , america ke president Barak obama duara 2010 mein es prodouct ko chuna gaya jisse fusion charts ko international platform par pahunchane mein bahut madad mili . mahaj 30 saal ke pallav nadani ke business ne aaj 47 crore ke aakde ko paar kar liya hai .







Microsoft chodh khadi ki multi bilion company



dosto dunia mein kai aise log hai jo aaj kuch hatkar karna chahate hai, ya yun kahe ki aamlogo ke din -pratidin ki samassiyaon ko apne vicharon va idea se door kar rahe hai . aise hi ek viyakti hai Bhavish Aggrawal , jinhone kuch apna karne ki lalak se , apne mehenat , sahash aur jokhim lene ki aadat se desh ki pheli cab bucking apni 'OLA cabs' ki suruat ki aur safal rahe . aaj ke es chote se aalekh mein aap unhi ki safalta ke visay mein padenge .

IIT mumbai ke computer science va engineer graduate Bhavish aggrawal ne 2010 - 11 mein OLA cabs ki isthapna ki parivaar aur doston ne unhe 'crazy' kaha . Microsoft research ki naukri karte hue Bhavish ne ab tak do patents prapt kiye the . unke teen papers international journal mein prakasit hue the , par globel business executive banne ke bajay ve self made enterpriyoner banna chahate the . microsoft mein surakshit bhavisy bhi 9 se 5 ki naukri se bhavish ki utkahat ko kam nahi kar paaya . Bhavish khete hai , mein hamesha se hi khud ka kuch suru karna chahata tha aur yahi vajha thi ki mein vikalp talash raha tha . lekin saath hi mein socaity ki kisi samasya ka samadhan prastut karne ke baare mein bhi socha karta tha . es soch ke saath bhavish apne venchar OLA cabs tak kaise pahunche , es sawal ke javab mein ve khete hai , ek trip ke kharab anubhav se iski suruaat hui . darasal ek baar bangluru se bandipur ki yatra mein Bhavish ne car kiraye par buck ki thi , jiska anubhav behad kharab raha . beech raaste mein driver ne gaadi rokkar aur paise dene ki maang ki . mana karne par usne safar wahi rokne ki dhamki di . uske kharab bartav ki vajha se Bhavish ko car chodkar baaki ki yatra bus se karni padi . es waqt Bhavish ko pheli baar cab bucking service mein samtaye nazar aayi .


Takneeki prathbhumi ne ki madad



Apne technology background ke chalte Bhavish ne cab services aur technology ko ek saath jodne ke baare mein socha . taaki customers ko online car rentail buckings , rivyoo va rating ke jariye bhetar quality asvasan aur car va driver ke baare mein puri suchna mil paye . August 2010 mein Bhavish ne OLA cabs ki suruaat ke liye apni naukri chodh di aur es disha mein kaam suru kiya . dilchasp hai ki Bhavish jaisi soch rakhne wale unke friends ankit bhati november 2010 mein unke bhagidaar bane . ankit ne bhi IIT se M tech aur CAD(automation ) ki degree ki thi . bhavish batate hai , ki jab mene suruaat ki to mere mata - pita soch rahe the ki mein travel agent banne ja raha hon . unhe samjha pana kafi muskil tha , lekin jab OLA cabs ko pheli funding haasil hui to unhe startup par kuch bharoosa hua .


Maalik khud bane drivar



OLA cabs ka maqsad paresaani mukt , vishvsaniye aur technology yukt car renatal service bhartiye upbhogtaon ko uplabdh karvaana tha . khud ki car kharidne va unhe kiraye par dene ke bajaye OLA cabs ne badi sankhiya mein taxi driver ke saath partnership ki aur poore setup mein aadhunik technology ko saamil kiya , jahan log short notes par call center aur apps ke jariye car buck kar sakte the . in bucking mein half ya full day raintal aur out station taxi jaisi saamil thi . OLA cabs ki isthapna ke baad kai baar IIT engineering graduate sansthapakon ne saare customer calls khud attend kiye to kai baar driver bankar grahko ko airport choda . jahan ankit bhati ne takniki morche ki jimmedari li to bhavish ne customers aur business associate ko sambhala .


Vishvasniyata ke liye mehenat



desh ke es asngathit market mein sahaj va aaramdayak transport suvidha uplabdh karvana aasan kam nahi tha . Bhavish aggrawal va ankit bhati ne car nirmata , vitya sansthano va bima companiyon se sampark kiya , taaki cab driver ko sahaj sharton va kam biyaj par karz mile . apne network se unhi drivaron ko joda , jinka track record saaf tha . unhe customer seva ka prasikshan dilvaya . OLA ke vistar ke liye niji nivesako se punji prapt karne ke liye bhi bhavish aggrawal ko masakkat karni padi .

lekin mehenat ka daaman dono hissedaron ne pakde rakkha aur es udhmi jodi ne takneeki ki madad se car rental seva ko jhanjhat mukt banaya.


70 city aur 1 arab ki income



60 fisadi market share ke saath OLA cabs aaj desh ki sabse badi va teji se grow ho rahi cab va auto bucking company hai . 1 lakh se adhik vahano ke saath desh ke 70 citiyon mein sakriye OLA pratidin 1.50 lakh logo ko income ke anuroop (10 se 17 rupey prati k.m ki dar se ) niji parivahan suvidha uplabdh karvati hai . mashlan luxuri travelling le liye OLA prime , comfortable travelling ke liye OLA sedan , economic travelling ke liye OLA mini , mahila yatriyon ke liye mahila driver ki OLA pink aur sabse sasti OLA auto . itna hi nahi OLA duara launch smart mobile application cab bucking ke liye bharat ka agrin application hai . business ke istar par teen saalon mein company 1 bilion ka aakda paar kar chuki hai aur 2015 ke anth tak 100 citiyon mein apni pahunch banane ki yojna bana rahi hai es silsile mein bhavish aggrawal ne four bade niveshak se 1281 crore rupey ka nivesh jutaya hai to ankit bhati ne apne network ko internet va phone se jodkar sabke liye 'win-win' halaat peda kiye hai .


Nahi kharidi khud ke liye car



apne idea ke prati samarpan bhavishki soch mein jhalakta hai ki apni patni ke saath unhone personal vhicle na kharidne ka pran kiya taaki ve aane jane ke liye OLA ka istemaal kar sake .

naye udhmiyon ke liye bhavish ki salha hai ki sapne to sab dekhte hai , par kuch hi log jokhim uthate hai . jab jokhim uthaenge to kai log kai salha denge . sapne unke saakar hote hai , jo sunte sabki hai , par karte apne man ki hai .
Roti , kapda aur makan saalon se buniyade jaroorate hai , lekin bhavish ki raay mein es suchi mein transport ko bhi joda jana chahaiye . isi soch ke saath multi bilion company khadi karne waale ko yeh idea ek safar ke kharab anubhavo se mila .








Engineer ki job chodkar banai company

टिप्पणियाँ